Motivational Quotes in Hinglish

Jhoot Mat Boolo Kyun Ki Ek Chota Sa Jhoot Bhi Ek Bada Algaav Paida Kar Deta Hai.

Humari Khudkismati Yah Hai Ki Hum Bhagwaan Ko Ek Mante Hain,
Par Badkismati Yah Hai Ki Hum Bhagwaan Ki Ek Nahi Mante.

Tej Swar Main Ki Gai Prarthana Iswaar Tak Pahuche,
Yah Awashyak Nahi Hai Kintu Sacche Man Se Ki Gai Prarthana,
Jo Bhale Maun Rahkar Ki Gai Ho Wah Iswaar Tak Awashya Pahuchti Hai.

Swaym Ka Bachav Karne Ke Liye Kabhi Dusron Par Dosaropan Mat Karo,
Kyunki Samay Ke Pass Satya Ko Prkat Karne Ka Apna Tareeka Hai.

Duniya Main Log Pahile Apne Aap Ko Nahi Dekhte Hain,
Aur Is Liye Wah Ek Dusre Par Aroop Lagate Hain.

Kisi Ke Guno Ki Prshansa Karke Apna Samaye Nast Mat Karo,
Balki Uske Guno Ko Apnane Ka Pryash Karo.

Agar Aap Apne Mitra Ko Apki Safatlta Se Irsha Karta Hua Pate Hain,
To Samjh Le Ki Wah Kabhi Bhi Aap Ka Saccha Mitra Nahi Tha.

Agar Aap Apne Mitra Ko Apki Safatlta Se Irsha Karta Hua Pate Hain,
To Samjh Le Ki Wah Kabhi Bhi Aap Ka Saccha Mitra Nahi Tha.

Jami Se Judkaar Asma Ki Baat Karo Swapn Nahi Hakekat Se Mulakat Karo,
Toofan Se Darte Hain Bujdil Yaron Museebat Se Mard Ki Tarah Do Do Hath Karo.

Jo Patthar Apki Manzil Ke Raste Main Badha Dalta Ho,
Aur Aapko Usi Patthar Ko Manzil Ki Sidi Banna Aa Jaye,
To Woh He Patthar Apko Aapki Manzil Tak Pahucha Dega.

Mujhe Yah Baat Pareshan Nahi Karti Ki,
Kisi Ne Mujhse Jhoot Boola,
Balki Yah Baat Pareshan Karti Hai Ki,
Abse Main Us Par Vishwash Nahi Kar Paunga.

Doopahr Tak Bik Gaya Bazar Ka Har Ek Jhoot Aur,
Main Ek Sach Le Kar Shaam Tak Baitha He Raha.

Unka Vishwas Mat Karo Jinki Bhavnaye Waqt Ke Sath Badal Jaye,
Vishwas Unka Karo Jinki Bhavnaye Waise He Rahe Jab Aapka Waqt Badal Jaye.

Apne Housle Ko Ye Mat Batao, Ki Tumhari Takleef Kitni Badi Hai,
Apni Takleef Ko Batao , Ki Tumhara Hosla Kitna Bada Hai.

Jab Bhakti Bhojan Main Prvesh Karti Hai To Bhojan Prshad Ban Jata Hai,
Jab Bhakti Pani Main Prvesh Karti Hai To Pani Charnamrit Ban Jata Hai,
Jab Bhakti Ghar Main Prvesh Karti Hai To Ghar Mandir Ban Jata Hai.

Prshannta Koi Bani Banai Milne Wali Chiz Nahi Hai,
Yah Apne Karmon Se He Aati Hai.

Apnon Ko Humesa Apna Hone Ka Shsaas Dilao Warna,
Waqt Aapke Apnon Ko Aapke Bina Jeena Sikha Dega.

Gyan Agar Buddhi Main Rahe To Boojh Banta Hai Aur,
Jab Viyavhaar Main Aa Jaye To Aachran Banta Hai.

Duniya Main Pair Bhigoye Bina Samudr To Paar Kiya Jaa Sakta Hai,
Par Aankhen Bhegoye Bina Pyaar Nahi Kiya Jaa Sakta.

Dhooka Deti Hai Aksar Masoom Chehre Ki Chamak Har Kanch Ke Tukde Ko Heera Nahi Kahte.

Apne Andar Se Ahankar Ko Nikal Kar Swaym Ko Halka Kijiye,
Kyunki Uncha Wahi Uthta Hai Jo Halka Hota Hai.

Shikayat Karke Samishyaon Se Bacha Nahi Jaa Sakta Kintu,
Jimmedari Utha Kar Samishyaon Ko Km Jarur Kiya Jaa Sakta Hai.

Sangeet Sunkar Gyan Nahi Milta Mandir Jakar Bhagwan Nahi Milta,
Pathar To Isliye Poojte Hai Log Kyunki Vishwas Ke Layak Insaan Nahi Milta.

Duniya Main Aadmi He Ek Matra Aisa Prani Hai,
Jo Ped Katta Hai, Uska Kagaz Banta Hai,
Aur Upar Likhta Hai ” Ped Bachao.

Zarooraton Aur Chahton Main Fark Hai Bada,
Talmail Baithate Baithate Guzar Jati hai Zindgi.

Dost Sabd Nahi Jo Mit Jaye Umar Nahi Jo Dhal Jaye,
Safar Nahi Jo Kat Jaye Ye To Wo Ahsas Hai,
Jiske Liye Jiya Jaye to Zindgi Bhi Km Pad Jaye.

Dosti Unse Rakkho Jo Muskurate Ho Sada Muskurane Ki Adhaye Tumko Bhi Aa Jayegi.

Kadak Lafzon Main Halki Baat Kahne Ki Bajaye Naram Lafzon Main Thosh Baat Kahiye.

Jinko Apne Kaam Par Bharosha Hota Hai,
Woh Naukri Karte Hain,
Jinko Apne Aap Par Bharosha Hota Hai,
Woh Viyapar Karte Hain.

Sabhi Insaan Hain Magar Farq Sirf Etna Hai,
Kuch Jakm Dete Hain, Aur Kuch Jakm Bharte Hain,
Humsafar Sabhi Hai Magar Farq Sirf Etna Hai,
Kuch Sath Chalte Hain, Kuch Sath Chhod Jate Hain.

Asafalta Anath Hoti Hai Lekin Safalta Ke Maa Baap,
Rishteydaar Dost Sabhi Hote Hain.

Zindagi Ke Badal Jane Main Kabhi Bhi Waqt Nahi Lagta,
Kabhi-Kabhi Waqt Badal Jane Main Puri Zindagi Lag Jati Hai.

Karm Tere Ahchce Hain To Kismaat Teri Dashi Hai,
Niyat Teri Ahchci Hai To Ghar Main Mathura Kashi Hai.

Dubta Hai To Pani Ko Dosh Deta Hai,
Girta Hai To Patthar Ko Dosh Deta Hai,
Insaan Bhi Bada Ajeeb Hai,
Kuch Kar Nahi Pata To Kismaat Ko Dosh Deta Hai.

Zindgi Main Aap Kitne Khush Hai Yah Mahatvpurna Nahi Hai Balki,
Mahatvpurna Yah Hai Ki Aapke Karan Kitne Log Khush Hai.

Sabr Ek Aise Sawari Hai Jo Apne Sawaar Ko Kabhi Girne Nahi Deti,
Na Kisi Ke Kadmon Main Aur Na He Kisi Ki Nazron Main.

Mana Ki Main Amir Nahi Hun,
Yah Baat To Sach Hai,
Lekin Agar Koi Apna Bana Le To,
Uska Har Gum Khareed Sakta Hun.

Prarthana Aise Karni Chahiye Jaise Ki,
Sab Kuch Ishwaar Par He Nirbhar Hai,
Aur Kaam Aise Karna Chahiye Jaise Ki,
Sab Kuch Hum Par He Nirbhar Hai.

Sparsh Aisa Rakkho Ki Kisi Ko Dard Na Ho.

Dil Aisa Rakkho Ki Kisi Ko Dukhi Na Kare.

Maan Aisa Rakkho Ki Kisi Ko Bura Na Lage.

Kabhi Na Girna Kamal Nahi Hai, Balki Gir Ke Sambhal Jana Kamal Hai.

Jis Se Mohabbat Ki Jaye Us Se Muqabla Nahi Kiya Jata.

Insaan Apni Tauhin Maf Kar Sakta Hai Bhool Nahi Sakta.

Manushya Apne Vishwas Se Nirmit Hota Hai,
Jaisa Wo Sochta Hai, Waisa Wo Ban Jata Hai.

Ye Sach Hai Ki, Apnon Ke Sath Waqt Ka Pata He Nahi Chalta Hai,
Par Ye Bhi Sach Hai Ki Waqt ke Sath He Apnon Ka Bhi Pata Chal Jata Hai.

Ish Jahan Main Kab Kisi Ka Dard Apnate Hain Log,
Rukh Hawa Ka Dekhkar Aksar Badal Jate Hain Log.

Kisi Bhi Manushya Ki Vartmaan Sthiti Dekhkar,
Uske Bhavishya Ka Mazak Mat Udao,
Kyunki Kaal Main Etni Shakti Hai Ki,
Wo Ek Sadharan Se Koyle Ko Bhi,
Dheere Dhere Heere Main Badal Deta Hai.

Kisi Bhi Rishte Ko Todne Se Pahile,
Ek Bar Apne Aap Se Puch Jarur Lena Ki,
Aaj Tak Us Rishtey Ko Nibha Kyun Rahe They.

Bindass Muskurao Kya Gum Hai,
Zindagi Main Tension Kisko Kam Hai,
Accha Ya Bura To Kewal Bhram Hai,
Zindagi Ka Naam He Kabhi Khusi Kabhi Gum Hai.

Apnane Ke Liye Hazar Khubiya Bhi Kam Hai,
Aur Chodne Ke Liye Ek Kami He Kafi Hai.

Zindagi Jeene Ka Makshaad Hona Chahiye,
Aur Apne Aap Par Viswas Hona Chahiye,
Jeevan Main Khushiya Ki Koi Kami Nahi Hoti,
Bas Jeene Ka Andaz Hona Chahiye.

Bahut Se Guno Ke Hone Ke Babzood Bhi Sirf,
Ek Dosh Vinash Ka Karan Ban Sakta Hai.

Maa Baap Ka Dil Dukha Kar Aaj Tak Koi Sukhi Nahi Hua.

Bhagwaan Na Dikhai Dene Wale Mata Pita Hote Hain,
Kintu Mata Pita Dikhai Dene Wale Bhagwaan Hote Hain.

Tere Girne Main Teri Haar Nahi Kyun Ki Tu Aadmi Hai Avtaar Nahi.

Jeevan Bahut Sundar Hai Ishe Aur Sundar Banao,
Maan Aisa Rakkho Ki Kisi Ko Bura Na Lage.

Kaam Aisa Karo Ki Naam Ho Jaye Ya Phir,
Naam Aisa Karo Ki Sunte He Kaam Ho Jaye.

Yadi Kahne Ke liye Kuch Accha Nahi Ho,
To Chup Rahna He Ek Behtaar Vikalp Hai.

Log Kahte Hain Jise Had Se Jyda Pyar Karo,
Wo Pyaar Ki Kadar Nahi Karta,
Par Sach To Yah Hai Ki,
Pyaar Ki Kadar Jo Bhi Karta Hai,
Use Koi Pyar He Nahi Karta.

Jab Hum Vikaat Paristhithi Se Guzar Rahe Hote Hain,
Aur Prabhu Ko Moun Pate Hai,
To Hume Yaad Rakhna Chahiye ki,
Pariksha Ke Dauran Shikshak Sadaiv Moun He Rahte Hain.

Kisi Ne Fool Se Pucha Jab Tumhe Koi Todta Hai To Dard Nahi Hota,
Fool Ne Kaha – Dard To Hota Hai Parntu,
Main Us Waqt Apna Dard Bhul Jata Hun,
Jab Meri Wajah Se Koi Khush Hota Hai.

Sari Duniya Ko Imandaar Aur Accha Banane Ki,
Kosish Karne Se Accha Hai Ki,
Har Viyakti Sirf Khud Ko Imandaar Bana Le,
Har Viyakti Khud Imandaar Ho Jaye To,
Duniya To Apne Aap Imaandaar Ho Jayegi.

Km Bolo, Dheere Bolo, Mitha Boolo.

Hamesha Prem Ki Bhasha Booliye,
Eshe Bahre Bhi Sun Sakte Hai Aur,
Gunge Bhi Samjh Sakte Hain.

Koi Tute To Use Sajana Sikho,
Koi Ruthe To Use Manna Sikho,
Risthey To Milte Hai Mukaddar Se,
Bas Unhe Khoobsurti Se Nibhana Sikho.

Hum Ye Prarthna Na Karein Ki Humare Upar Khatre Na Aaye,
Balki Ye Karein Ki Hum Unka Samna Karne Main Nidar Rahe.

Burai Is Liye Nahi Panapti Ki Bura Karne Wale Log Badh Gaye Hain,
Balki Is Liye Badhti Hai Ki Sehan Karne Wale Log Badh Gaye Hain.

Yah Bhi Ek Dua Hai Meri Bhagwan Se,
Kisi Ka Dil Na Dukhe Meri Wajah Se,
Bhagwaan Kar De Kuch Aise Kirpa Mujh Par Ki,
Khusiyan Mile Sabko Meri Dua Se.

Murkh Par Vijaye Pane Ka Ek Matra Upaye Yahi Hai,
Ki Uski Oor Dhyan Nahi Diya Jaye.

Beti Abhishap Nahi Vardaan Hai,
Beti Sristi Ka Mul Adhar Hai,
Beti Sanskrti Ki Samwahak Hai,
Beti Sabhyata Ki Palanhaar Hai,
Beti Iswaar Ki Anukampa Hai,
Beti Ek Anmol Dharohar hai.

Ishwar Se Kuch Mangne Par Na Mile To,
Usse Naraz Na Hona Kyun Ki,
Ishwar Wah Nahi Deta Jo Aapko Accha Lagta Hai,
Balki Wah Deta Hai Jo Aapke Liye Accha Hota Hai.

Sangharsh Ke Bina Koi Trakki Nahi Hoti.

Ek Saccha Mitra Hazaron Rishtedaro Se Accha Hai.

Aniti Sahan Karte Rahne Ki Apekcha Usse Ladte Huye Mar Jana Accha Hai.

Aapke Pass Jeevan Main Kitne Saal Bache Hain,
Un Bache Huye Saalon Main Kitna Jeevan Bacha Hai,
Ye Mayne Rakhta Hai.

Aadmi Dukh Main Kaam Aana Chahiye,
Khushi Mein to Hizde Bhi Nachne Aa Jate Hai.

Pratibha Ke Bal Par Kurshi Prapt Ki Jaa Sakti Hai,
Parantu Kurshi Ke Bal Par Pratibha Prapt Nahi Ki Jaa Sakti.

Yadi Aap Ahankari aur Krodhi Hai,
To Aapko Barbad Karne Ke Liye Ye Do Durgun He Bahut Hai.

Izzat Hamesha Ijjatdaar Log He Karte Hain,
Kyoki Jinke Pass Khud Ijjat Nahi,
Wo Kisi Aur Ko Kya Ijjat Denge.

Har Kisi Ko Khush Karna Shayad Hamare Vash Mein Na Ho,
Lekin Kisi Ko Hamari Wajah Se Dukh Na Pahuche,
Ye to Humare Vash Main Hai.

Dost… Dost Ek Aisa Chor Hota Hai,
Jo Ankho Se Ansoo, Chehre Se Pareshani,
Dil Se Mayushi, Zindagi Se Dard,
Aur Bas Chale to Apni Jaan Tk De De.

Aap Kabhi Kisi Ke Liye Aansoo Mat Bahana,
Kyoki Wo Aapke Kabil Nahi Hoga Aur,
Jo Aapke Kabil Hoga Wo to Aap Ko,
Kabhi Rone He Nhi Dega.

Bojh Kitna Bhi Ho,
Lekin Kabhi Uff Tak Nahi Karta,
Kandha Baap Ka Hai Sahab Bada Mazboot Hota Hai.

Kaise Nadan Hai Hum,
Dukh Aata Hai to Atak Jate Hain,
Sukh Aata Hai to Bhatak Jate Hain.

Yadi Aap Apne Sapne Pure Nahi Karte,
To Koi Dusra Aapko Estemal Kar,
Apne Sapne Pure Karega.

Bulna to Sab Jante Hain,
Magar Kab Aur Kya Bulna Hai,
Yah Bahut Hi Kam Log Jante Hain.

Kabhi Kabhi Aapko Logo Se Ummed Chod Deni Padti Hai,
Isliye Nahi Ki Aap Parwah Nahi Karte,
Balki Isliye Ki Wo Parwah Nahi Karte.

Us Viyakti Ko Alochna Karne Ka Adhikar Hai,
Jo Sahayta Karne Ki Bhavna Rakhta Hai.

Zindagi Pal – Pal Dhalti Hai,
Jaise Ret Mutthi Se Phisalti Hai,
Shikwe Kitne Bhi Ho Har Pal,
Phir Bhi Haste Rahna,
Kyun Zindagi Kaisi Bhi Hai,
Ek Bar Milti Hai.

Ek Aurat Bete Ko Janam Dene Ke Liye,
Apni Sundarta Tyag Deti Hai Aur,
Wahi Beta Ek Sundar Biwi Ke Liye,
Apni Maa Ko Tyag Deta Hai.

Insaan Kehta Hai Ki Paisa Aaye to Main Kuch Karke Dikhaun,
Aur Paisa Kehta Hai Ki Tu Karke Dikha to Main Aaun.

Is Sansar Main Pyar Karne Layak Do He Vastuye Hai,
Ek Dukh Aur Dusra Shram,
Dukh Ke Bina Hrdaye Nirmal Nahi Hota,
Aur Shram…k Bina Jevan Ka Vikas Nhi Hota.

Iswar Kahte Hai Udhash Na Ho.
Main Tere Sath Hun Samne Nahi Ass Pass Hun,
Palkon Ko Band Kar Aur Dil Se Yaad…kr,
Me Koi or Nhi Tera Visvas Hu.

Sangharsh Insaan Ko Mazboot Banata Hai.
Phir Chahe Woh Kitna Bhi Kamjor Kyun Na Ho.

Apne Kaam Ko Ek Rahasya He Rahne Do,
Logo Ko Kaam Ka Natiza Dikhao.

Karmon Se Pehhcan Hoti Hai Insaan Ki Duniya Mein,
Acche Kapde to Bejuban Putlon Ko Bhi Pehnaye Jate Hain Dukano Main.

Ye Zindagi Jo Aap Abhi Jee Rahe Hain,
Bahut Se Logo Ke Liye Ye Abhi Bhi Sapna Hai..

Zindagi Jeene Ka Falsafa Mauka Nikalo Insaan Ko Pahichano,
Waqt Ki Najakat Ko Jano Phir Zindagi Se Jo Chaho Wo Pa Lo.

Insaan Ko Insaan Dhokha Nahi Deta Hai,
Balki Wo Ummedein Dhokha De Jati Hain,
Jo Wo Dusron Se Rakhta Hai.