Friendship Quotes in Hinglish

Jab Bhi Saath Bitaya Waqt Yaad Aata Hai,
Meri Palko Par Bahte Aansoo Chhod Jata Hai,
Koi Aur Mil Jaye Toh Humein Na Bhul Jana,
Dosti Ka Rishta Zindagi Bhar Kaam Aata Hai.

Khushi Ki Parchhaiyon Ka Naam Hai Dosti,
Ghamo Ki Gehraiyon Ka Jaam Hai Dosti,
Ek Pyara Sa Dost Hai Humara Yahan,
Uski Pyari Si Hansi Ka Naam Hai Dosti.

Khuda Ne Agar Ye Rishta Banaya Na Hota,
Ek Pyaare Dost Ko Mujhse Milaya Na Hota,
Zindagi Ho Jati Humari Bilkul Veeraan,
Agar Aap Jaise Dost Ko Paaya Na Hota.

Chhoti-chhoti Shararaton Ka Anzaam Hai Dosti,
Kahe-ankahe Rishton Ka Paigam Hai Dosti,
Din-raat Ki Masti Ka Naam Hai Dosti,
Lekin Aapke Bina Bilkul Bejaan Hai Ye Dosti.

Gungunana to Takdeer Mein Likha Kar Laye the,
Khilkhilana Doston Se Tohfe Mein Mil Gaya,

Mere Dosto Ki Pahchan Itni Mushkil Nahi,
Wo Hansna Bhool Jate Hain Mujhe Rota Dekhkar.

Apni Dosti Ka Bas Itna Sa Usool Hai,
Jab Tu Qabool Hai to Tera Sabkuchh Qabool Hai.

Wo Yaad Nahi Karte Hum Bhula Nahi Sakte,
Wo Hansa Nahi Sakte Hum Rula Nahi Sakte,
Dosti Itni Khoobsoorat Hai Humari,
Wo Bata Nahi Sakte Hum Jata Nahi Sakte.

Khushiyon Ka Ek Sansaar Lekar Aayenge,
Patjhad Mein Bhi Bahaar Lekar Aayenge,
Jab Bhi Pukaroge Aap Dil Se Ai Dost,
Hum Khuda Se Saansein Udhaar Leke Aayenge.

Ai Dost Jab Kabhi Tu Bahut Udaas Hoga,
Mera Khayal Tere Dil Ke Aas-paas Hoga,
Dil Ki Gaheraiyon Se Jab Bhi Karega Yaad,
Tujhe Humaare Kareeb Hone Ka Ehsaas Hoga.

Tum Saath Agar Doge to Muskurayenge Jaroor,
Dosti Agar Dil Se Karoge to Nibhayenge Jaroor,
Kitne Bhi Kaante Kyun Na Ho Dosti Ki Raah Mein,
Aawaaz Agar Dil Se Doge to Aayenge Jaroor.

Hansi Chhupana Kisi Ko Gawara Nahi Hota,
Har Musafir Zindagi Ka Sahara Nahi Hota,
Milte Hain Log Iss Tanha Zindagi Mein Par,
Har Koyi Dost Tum Sa Pyara Nahi Hota.

Hum Dost Banakar Kisi Ko Rulaate Nahi,
Dil Mein Basakar Kisi Ko Bhulaate Nahi,
Hum to Dost Ke Liye Jaan Bhi De Sakte Hain,
Aur Tum Sochte Ho Hum Dosti Nibhaate Nahi.

Safar Dosti Ka Kabhi Khatm Na Hoga,
Doston Se Ye Pyar Kabhi Kam Na Hoga,
Door Rehkar Bhi Jab Rahegi Mahek Iski,
Humein Kabhi Bichhadne Ka Gham Na Hoga.

Ummeed Aisi Ho Jo Jeene Ko Majboor Kare,
Raah Aisi Ho Jo Chalne Ko Majboor Kare,
Mahek Apni Dosti Ki Kam Na Ho Kabhi,
Dosti Aisi Ho Jo Milne Ko Majboor Kare.

Kal Na Hum Honge Na Koi Gila Hoga,
Sirf Simti Hui Yaadon Ka Silsila Hoga,
Jo Lamhe Hain Unhein Haskar Bita Le Dost,
Jaane Kal Zindagi Ka Kya Faisla Hoga.

Duniyadari Mein Hum Thode Kachche Hain,
Par Dosti Ke Maamle Mein Sachche Hain,
Humari Sachchai Bas Iss Baat Par Kayam Hai,
Ki Humare Dost Humse Bhi Achchhe Hain.

Rishton Se Badi Chahat Aur Kya Hogi,
Dosti Se Badi Ibaadat Aur Kya Hogi,
Jise Dost Mil Sake Koi Aap Jaisa,
Use Zindagi Se Koi Aur Shikayat Kya Hogi.

Tanhai Si Thi Duniya Ki Bheed Mein,
Socha Koi Apna Nahi Takdeer Mein,
Ek Din Jab Dosti Ki Aap Se to Yoon Laga,
Kuchh Khaas Tha Mere Haath Ki Lakeer Mein.

Saath Rehte Yoon Hi Waqt Gujar Jayega,
Dur Hone Ke Baad Kaun Kise Yaad Aayega,
Jee Lo Ye Pal Jab Tak Sath Hai Dosto,
Kal Ka Kya Pata Waqt Kahan Le Ke Jayega.

Dosti Kis Se Na Thi Kis Se Mujhe Pyar Na Tha,
Jab Bure Waqt Pe Dekha to Koi Yaar Na Tha.

Toofano Ki Dushmani Se Na Bachte to Khair Thi,
Saahil Se Doston Ke Bharam Ne Dubo Diya.

Aap Jiske Waste Mujhse Kinara Kar Gaye,
Aapse Bach Kar Wahi Mujhko Ishara Kar Gaye.

Daag Duniya Ne Diye Zakhm Zamane Se Mile,
Humko Tohfe Ye Tumhein Dost Banaane Se Mile.

Aapki Humari Dosti Suron Ka Saaj Hai,
Aap Jaise Dost Par Hamein Naaz Hai,
Ab Chaahe Kuchh Bhi Ho Jaye Zindagi Mein,
Dosti Waise Hi Rahegi Jaise Aaj Hai.

Zindagi Ke Toofanon Ka Saahil Hai Dosti,
Dil Ke Armaanon Ki Manzil Hai Dosti,
Zindagi Bhi Ban Jayegi Apni to Jannat,
Agar Maut Aane Tak Saath De Dosti.

Tum Dost Ban Ke Aise Aaye Zindagi Mein,
Ki Hum Yeh Zamana Hi Bhool Gaye,
Tumhein Yaad Aaye Na Aaye Humari Kabhi,
Par Hum to Tumhein Bhulaana Hi Bhool Gaye.

Zindagi Har Pal Kuchh Khaas Nahi Hoti,
Phoolo Ki Khushboo Hamesha Paas Nahi Hoti,
Milna Humari Takdeer Mein Tha Varna,
Itni Pyari Dosti Ittefaaq Nahi Hoti.

Do Raste Zindagi Ke, Dosti Aur Pyar,
Ek Jaam Se Bhara, Dusara Iljam Se.

Ye Kisne Kaha Yaari Barabari Walo Se Hoti Hai,
Ye to Anamol Hai Isme Sab Barabar Hota Hai.

Beshak Thoda Intajaar Mila Humko,
Par Duniya Ka Sabse Haseen Yaar Mila Humko,
Na Rahi Tamnna Ab Kisi Jannat Ki,
Teri Dosti Mein Wo Pyar Mila Humko.

Haqeekat Mohabbat Ki Judai Hoti Hai,
Kabhi-kabhi Pyaar Mein Bewafai Hoti Hai,
Hamare Taraf Haath Badhakar to Dekho,
Dosti Mein Kitni Sachchai Hoti Hai.

Saare Dost Ek Jaise Nahin Hote,
Kuchh Hamare Hokar Bhi Hamare Nahin Hote,
Aapse Dosti Karne Ke Baad Mahsoos Hua,
Kaun Kahta Hai Taare Zameen Par Nahin Hote.

Wo Achchha Hai to Achchha Hai, Wo Bura Hai to Bhi Achchha Hai,
Dosti Ke Mijaaz Mein, Yaaron Ke Aib Nahin Dekhe Jaate.

Rishton Se Badi Chahat Aur Kya Hogi,
Dosti Se Badi Ibadat Aur Kya Hogi,
Jise Dost Mil Sake Koi Aap Jaisa,
Use Zindgi Se Koi Aur Shikayat Kya Hogi.

Dosti Dard Nahi Khushiyon Ki Saugat Hai,
Kisi Apne Ka Zindgi Bhar Ka Saath Hai,
Ye Toh Dilon Ka Woh Khoobsurat Ehsaas Hai,
Jiske Dam Se Roshan Yeh Saari Kaaynat Hai.

Kis Had Tak Jana Hai Yeh Kaun Janta Hai,
Kis Manzil Ko Pana Hai Yeh Kaun Janta Hai,
Dosti Ke Do Pal Jee Bhar Ke Jee Lo,
Kis Roz Bichhad Jana Hai Yeh Kaun Janta Hai.

Hum Woh Phool Hain Jo Roz Nahi Khilte,
Yeh Woh Honth Hain Jo Kabhi Nahi Silte,
Hum Se Bichhdoge Toh Ehsaas Hoga Tumhe,
Hum Woh Dost Hain Jo Roz Roz Nahi Milte.

Ishq Aur Dosti Meri Zindgi Ke Do Jahan Hain,
Ishq Meri Rooh Toh Dosti Mera Imaan Hai,
Ishq Pe Kar Doon Fida Apni Saari Zindgi,
Magar Dosti Pe Toh Mera Ishq Bhi Qurbaan Hai.

Sabse Alag Sabse Nyaare Ho Aap,
Tareef Kabhi Poori Na Itne Pyaare Ho Aap,
Aaj Pata Chala Zamana Kyun Jalta Hai Mujhse,
Kyunki Dost Toh Aakhir Humare Ho Aap.

Hansi Chhupana Kisi Ko Gawara Nahi Hota,
Har Musafir Zindgi Ka Sahara Nahi Hota,
Milte Hain Log is Tanha Zindgi Me Par,
Har Koyi Dost Tum Sa Pyara Nahi Hota.

Dost Samajhate Ho to Dosti Nibhate Rahna,
Hame Bhi Yaad Karna Khud Bhi Yaad Aate Rahna,
Humari to Har Khushi Dosto Se Hi Hai,
Hum Khush Rahe Ya Na Aap Yu Hi Muskurate Rahna.

Zindgi Ke Toofanon Ka Sahil Hai Dosti,
Dil Ke Armanon Ki Manzil Hai Dosti,
Zindgi Bhi Ban Jayegi Apni Toh Jannat,
Agar Maut Aane Tak Saath De Dosti.

Honthon Pe Ulfat Ke Fasane Nahi Aate,
Jo Beet Gaye Phir Woh Jamaane Nahi Aate,
Dost Hi Hote Hain Doston Ke Humdard,
Koyi Farishte Yehan Saath Nibhane Nahi Aate.

Duniyadari Mein Hum Thode Kachche Hain,
Par Dosti Ke Muamale Mein Sachche Hain,
Humari Sachayi Bas Iss Baat Par Kayam Hai,
Ki Humare Dost Humse Bhi Achchhe Hain.

Andhero Ke Liye Kuchh Aaftab Maange Hain,
Apne Liye Humne Dost Kuchh Khaas Maange Hain,
Jab Bhi Dua Mein Kuchh Maanga Hain Rab Se,
Toh Aapke Liye Khushi Bhare Lamhat Maange Hain.

Hum Dost Banakar Kisi Ko Rulate Nahi,
Dil Me Basakar Kisi Ko Bhulate Nahi,
Hum to Dost Ke Liye Jaan Bhi De Sakte Hain,
Par Log Sochte Hain Hum Dosti Nibhaate Nahi.

Har Khushi Se Khoobsurat Teri Sham Kar Du,
Apna Pyaar Aur Dosti Tere Naam Kar Du,
Mil Jaye Agar Dobara Yeh Zindgi Ai Dost,
Har Baar Main Ye Zindgi Tujh Par Qurban Kar Du.

Mujhe Rehne De Aye Dost Paas Apne,
Najron Se Yun Apni Tu Door Na Kar,
Bas Ek Zindgi Hi Baaki Hai Mere Paas,
Isko Bhi Juda Karne Ko Majboor Na Kar.

Thoda Sa Dil Ko Udas Kar Liya Karo,
Dost Se Door Hone Ka Ehsas Kar Liya Karo,
Hamesa Ham Hi Yaad Karte Hain Aapko,
Khabhi Aap Bhi Hamein Yaad Kar Liya Karo.

Chand Lamhon Ki Zindgani Hai,
Nafraton Se Jiya Nahi Karte,
Dushamano Se Guzarish Karni Padegi,
Dost Toh Ab Yaad Kiya Nahi Karte.

Dosti Toh Insaan Ki Jarurat Hai,
Dilon Par Dosti Ki Hukoomat Hai,
Aapke Pyar Ki Wajah Se Zinda Hain,
Varna Khuda Ko Bhi Humari Jarurat Hai.

Socha Tha Na Karenge Kisi Se Dosti,
Aur Na Hi Karenge Kisi Se Vaada,
Par Kya Karein Dost Mila Itna Pyara,
Ke Karna Pada Dosti Ka Iraada.

Ek Raat Rab Ne Mere Dil Se Poochha,
Tu Dosti Mein Itna Kyun Khoya Hai,
Dil Bola... Doston Ne Hi Di Hai Saari Khushiyan,
Varna Pyaar Karke to Dil Hamesha Roya Hai.

Tum Roothhe Roothe Se Lagte Ho,
Koi Tarkeeb Bataao Manaane Ki,
Main Zindagi Girwi Rakh Doon,
Tum Keemat Toh Batao Muskurane Ki.

Na Jane Kyun Humein Aansu Bahana Nahi Aata,
Na Jane Kyun Haale-dil Batana Nahi Aata,
Kyun Sab Dost Khafa Ho Gaye Humse,
Shayad Humein Hi Saath Nibhana Nahi Aata.

Gunaah Kar Ke Saza Se Darte Hain,
Zeher Pee Ke Dawa Se Darte Hain,
Dushmano Ke Sitam Ka Khauf Nahi Humein,
Hum Dosto Ke Khafa Hone Se Darte Hain.

Iss Bewafa Zindgi Se Shayad Mujhe Itni Mohabbat Na Hoti,
Agar Iss Zindgi Mein Dost Koi Tum Jaisa Nahi Milta.

Apne Saaye Se Bhi Zyada Yakeen Hai Mujhe Tum Par,
Andheron Mein Tum to Mil Jaate Ho Saya Nahi Milta.

Kismat Walon Ko Hi Milti Hai Panaah Kisi Ke Dil Mein,
Yun Har Shakhs Ko Toh Jannat Ka Pata Nahi Milta.

Khushi Se Dil Ko Aabaad Karna,
Aur Gam Ko Dil Se Aazad Karna,
Humari Bas Itni Gujarish Hai Ke,
Din Mein Humein Ek Bar Yaad Karna.

Safar Dosti Ka Kabhi Khatm Na Hoga,
Doston Se Yeh Pyar Kabhi Kam Na Hoga,
Dur Rehkar Bhi Jab Rahegi Mahek Iski,
Humein Kabhi Bichhadne Ka Gam Na Hoga.

Diye Toh Aandhi Mein Bhi Jala Karte Hain,
Gulaab Toh Kaanto Mein Bhi Khila Karte Hain,
Khush-naseeb Bahut Hoti Hai Woh Shaam,
Dost Aap Jaise Jab Mila Karte Hain.

Muskurahat Ka Koi Mol Nahi Hota,
Kuchh Rishton Ka Koi Tol Nahi Hota,
Log Mil Jate Hain Har Mod Par Lekin,
Har Koi Aapki Tarah Anmol Nahi Hota.

Ummid Aisi Ho Jo Jeene Ko Majboor Kare,
Raah Aisi Ho Jo Chalne Ko Majboor Kare,
Mahek Kam Na Ho Kabhi Apni Dosti Ki,
Dosti Aisi Ho Jo Milne Ko Majboor Kare.

Saath Agar Doge Toh Muskurayenge Jarur,
Pyar Agar Dil Se Karoge Toh Nibhayenge Jarur,
Kitne Bhi Kante Kyu Na Ho Dosti Ki Raaho Mein,
Aawaz Agar Dil Se Doge to Aayenge Jarur.

Wo Dil Kya Jo Milne Ki Dua Na Kare,
Tumhein Bhool Kar Jiyun Yeh Khuda Na Kare,
Rahe Teri Dosti Meri Zindgi Ban Kar,
Yeh Baat Aur Hai Zindgi Wafa Na Kare.

Dosti Ka Shukriya Kuch Ish Trah Ada Karun,
Aap Bhul Bhi Jao to Main Yaad Karun,
Dosti Ne Bas Itna Sikhaya Hai Mujhe,
Ke Khud Se Pahle Apke Liye Dua Karun.

Tum Sada Muskurate Raho Yeh Tamanna Hai Humari,
Har Dua Mein Maangi Hai Bas Khushi Tumhari,
Tum Saari Duniya Ko Dost Bana Kar Dekh Lo,
Phir Bhi Mahsoos Karoge Kami Humaari.

Jo Koi Samajh Na Sake Woh Baat Hain Hum,
Jo Dhal Ke Nayi Subah Laye Woh Raat Hai Hum,
Chhod Dete Hai Log Rishte Banakar Yu Hi,
Jo Kabhi Na Chhute Aisa Sath Hain Hum.

Tu Dur Hai Mujhse Aur Paas Bhi Hai,
Mujhe Teri Kami Ka Ehsaas Bhi Hai,
Dost Toh Humare Lakhon Hain Iss Jahan Mein,
Par Tu Pyara Bhi Hai Aur Khaas Bhi Hai.

Sachchi Hai Meri Dosti Aazma Ke Dekh Lo,
Karke Yakeen Mujh Pe Mere Paas Aake Dekh Lo,
Badalta Nahi Kabhi Sonaa Apna Rang,
Jitni Baar Chahe Aag Laga Kar Dekh Lo.

Tanhai Si Thi Duniya Ki Bheed Mein,
Socha Koi Apna Nahi Takdeer Mein,
Ek Din Jab Dosti Ki Aap Se Toh Yun Laga,
Kuchh Khaas Tha Mere Haath Ki Lakeer Mein.

Aapki Palko Par Rah Jaye Koi,
Aapki Saanso Par Naam Likh Jaye Koi,
Chalo Vaada Raha Bhool Jana Humein,
Agar Humse Achha Dost Mil Jaye Koi.

Karni Hai Khuda Se Gujarish,
Teri Dosti Ke Siwa Koi Bandgi Na Mile,
Har Janam Mein Mile Dost Tere Jaisa,
Ya Phir Kabhi Zindgi Na Mile.

Tum Se Ye Dil Se Promise Hai Humara,
Na Chhodenge Kabhi Saath Tumhara,
Jo Kahin Gaye Tum Humein Bhool Kar,
Le Aayenge Pakad Kar Haath Tumhara.

Zindgi Nahin Humein Doston Se Pyari,
Doston Pe Haajir Hai Jaan Humari,
Aankhon Mein Humari Aansu Hai Toh Kya,
Khud Se Bhi Pyaari Hai Muskaan Tumhari.

Dost Ne Dil Ka Haal Bataana Chhor Diya,
Humne Bhi Gehrayi Mein Jana Chhor Diya,
Aap Ne Sms Karna Kya Band Kar Diya,
Humne Mobile Recharge Karana Chhor Diya.

Milna Bichhdna Sab Kismat Ka Khel Hai,
Kabhi Nafrat Toh Kabhi Dilo Ka Mel Hai,
Bik Jata Hai Har Rishta Iss Zamane Mein,
Sirf Dosti Hi Yahan Not for Sale Hai.

Har Pal Ki Dosti Ka Irada Hai Aapse, Apnapan Hi Kuchh Jyada Hai Aapse, Saath Honge Aapke Umr Bhar Ke Liye, Hamesha Dosti Nibhayenge Vada Hai Aapse.

Geet Ki Jarurat Mahfil Mein Hoti Hai,
Pyar Ki jarurat Dil Mein Hoti Hai,
Bina Dost Ke Adhuri Hai Zindgi,
Kyunki Dost Ki Jarurat Har Pal Mein Hoti Hai.

Jab Saath Bitaya Waqt Yaad Aata Hai,
Meri Palko Par Aansu Chhor Jata Hai,
Koi Aur Mil Jaye Toh Humein Na Bhul Jana,
Dosti Ka Rishta Zindgi Bhar Kaam Aata Hai.

Gungunana Toh Takdir Mein Likha Kar Laye the,
Khilkhilana Doston Se Tohfe Mein Mil Gaya.

Na Koi Gila Karta Hun Na Shiqwa Karta Hun,
Tum Salamat Raho Bas Yehi Dua Karta Hun.

Khushi Se Beete Har Din Har Suhaani Raat Ho,
Jis Taraf Aapke Kadam Pade Phoolo Ki Barsaat Ho.

Kuchh Toh Baat Hai Teri Fitrat Mein Aye Dost, Varna
Tujhe Yaad Karne Ki Khata Hum Baar Baar Na Karte.

Dekhi Jo Nabj Meri Toh Hans Kar Bola Hakeem,
Tere Marz Ka Ilaaj Mehfil Hai Tere Doston Ki.

Waqt Ki Yaari Toh Har Koi Kar Leta Hai Dost,
Mazaa Toh Tab Hai Jab Waqt Badle Par Yaar Na Badle.

Dur Hain Aapse Toh Kuchh Gam Nahi, Dur Rehkar Bhulne Wale Hum Nahi, Roj Mulakat Na Ho Toh Kya Hua, Aapki Yaad Milakat Se Kam Nahi.

Shayad Phir Se Woh Takdeer Mil Jaye,
Zindgi Ke Woh Haseen Pal Mil Jayein,
Chal Phir Se Baithhe Class Ki Last Bench Par,
Shayad Wapas Woh Purane Dost Mil Jayein.

Ehsaas Bahut Hoga Jab Chhod Ke Jayenge,
Royenge Bahut Magar Aansu Nahi Aayenge,
Jab Saath Koi Na De Toh Aawaj Humein Dena,
Aasman Par Honge Toh Bhi Laut Ke Jayenge.

Khushi Ki Parchhaiyon Ka Naam Hai Zindgi,
Ghamo Ki Gahraiyon Ka Jaam Ha Zindgi,
Ek Pyara Sa Dost Hai Humara Yahan,
Uski Pyari Si Hansi Ka Naam Hai Zindgi.

Woh Baat Kya Karun Jiski Khabar Hi Na Ho,
Woh Dua Kya Karun Jiska Asar Hi Na Ho,
Kaise Keh Dun Aapko Lag Jaye Meri Bhi Umr,
Kya Pata Agle Pal Meri Umr Hi Na Ho.

Jo Dil Ke Ho Kareeb Use Ruswa Nahi Karte,
Yun Apni Dosti Ka Tamasha Nahi Karte,
Khamosh Rahoge Toh Ghutan Aur Badegi,
Apno Se Koi Baat Chhupaya Nahi Karte.

Aap Jiske Waste Mujhse Kinara Kar Gaye,
Aapse Bach Kar Wahi Mujhko Ishara Kar Gaye.

Dost Hokar Bhi Maheeno Nahi Milta Mujhse,
Uss Se Kahna Ke Kabhi Zakhm Lagaane Aaye.

Daag Duniya Ne Diye Zakhm Zamane Se Mile,
Humko Tohfe Yeh Tumhein Dost Banane Se Mile.

Dushmano Se Mohabbat Hone Lagi Hai Mujhe,
Jaise Jaise Dosto Ko Aajmata Ja Raha Hun.

Dosti Kis Se Na Thi Kis Se Mujhe Pyar Na Tha,
Jab Bure Waqt Pe Dekha Toh Koi Yaar Na Tha.

Toofano Ki Dushmani Se Na Bachte Toh Khair Thi,
Saahil Se Doston Ke Bharam Ne Dubo Diya.